Saturday, November 14, 2009

"RAAT ki RANI"

"Darwaze par DASTAK ki SADA tum to nahi ho।?
Simti hui sharmayi hui RAAT ki RANI,
SOYI hui kaliyon ki HAYA tum to nahi ho।?
Mehsoos kiya TUM ko to GEELI hui palaken
BHEEGY hue MOSAM ki ADA tum to nahi ho।?
In AJNABI rahon men nahi koi b meraa
Kis ne MUJHE yu apna kaha TUM to nahi ho॥
Regards ( Tosh Gupta)"

Friday, July 31, 2009

"मोहब्बत ना होती"

"शरारत ना होती , शिकायत ना होती /
नैनों में किसी के नजाकत ना होती //
ना होती बेकरारी , ना होते हम तनहा /
जो जहाँ में कमबख्त ये मोहब्बत ना होती //
ना होते ये सपने , ये ख्वाबों की दुनिया /
किसी को चाहत की तमन्ना ना होती //
ना जुल्फों की छाया , ना फूलों की खुशबू /
यादों में उनकी ये रातें ना कटती //
ना होती ये मोहब्बत , ये आंसू ना होते /
दिल भी ना खोता, आज तन्हा ना रोता //
मजनू सी अपनी , ये हालत ना होती /
जो जहाँ में कमबख्त ये मोहब्बत न होती // "

Monday, May 25, 2009

Zindagi mein sada muskurate raho.

"Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo,
Raat kaali sahi koi gam na karo,

Ik sitara bano jagmagatey raho,
Zindagi mein sada muskurate raho.
 
Baantni hai agar bant lo har khushi,      
Gam na zahir karo tum kisi par kabhi,

 
Dil ki gehrai mein gam chhupate raho,
Zindagi mein sada muskurate raho.
 
Ashk anmol hain kho na dena kahin,
In ki har boond hai motiyon se haseen,

 
Inko har aankh se tum churate raho,
Zindagi mein sada muskurate raho.
 
Faasley kam karo dil milate raho,
Zindagi mein sada muskurate raho."

 

Sunday, April 5, 2009

!! Teri Baahon Main Marna Ka Maja Kuch Aur Hai !!

*~**~ for you ~**~*

"Hasratein puri karne ka maja kuch aur hai
teri baahon mein marne ka maja kuch aur hai .

peekar to madhosh sab hote hain aksar
teri aankhon se peene ka maja kuch aur hai .

manjil to paa leta yun to akela main bhi
par tere sath hone ka maja kuch aur hai .

hanste to sab hain mehfilon mein hamadam
par rotey huye muskuraane ka maja kuch aur hai .

har aarju dil ki aaj ufaan par hai yun to
par kuch baatein chhupaane ka maja kuch aur hai .

jo likh kar tu hamesha bhool jata hai
kabhi kabhi wo gajal gun-gunaane ka maja kuch aur hai ."

Monday, March 16, 2009

Bewafaayi kabhi kabhi kar lii,



Aashiqii mein bohut zaruuri hai,
Bewafaayi kabhi kabhi kar lii,
Tum mohabbat ko khel kehte ho,
Ham ne barbaad zindgi kar lii,
Uss ne dekhaa badi inaayat se,
Aankhon aankhon mein baat bhi kar lii,
Aashiqii mein bohut zaruuri hai,
Bewafaayi kabhi kabhi kar lii,
Ham nahi jaante chiraagon ne,
Kyon andheron se dosti kar lii,
Dhadknein dafn ho gayi hongii,
Dil mein diivaar kyon khadi kar lii,
Aashiqii mein bohut zaruuri hai,
bewafaayi kabhi kabhi kar lii,