Sunday, April 5, 2009

!! Teri Baahon Main Marna Ka Maja Kuch Aur Hai !!

*~**~ for you ~**~*

"Hasratein puri karne ka maja kuch aur hai
teri baahon mein marne ka maja kuch aur hai .

peekar to madhosh sab hote hain aksar
teri aankhon se peene ka maja kuch aur hai .

manjil to paa leta yun to akela main bhi
par tere sath hone ka maja kuch aur hai .

hanste to sab hain mehfilon mein hamadam
par rotey huye muskuraane ka maja kuch aur hai .

har aarju dil ki aaj ufaan par hai yun to
par kuch baatein chhupaane ka maja kuch aur hai .

jo likh kar tu hamesha bhool jata hai
kabhi kabhi wo gajal gun-gunaane ka maja kuch aur hai ."

No comments:

Post a Comment